Tuesday, February 2, 2010

Larkay in 2100

(Larki walay larkay ko dhaikhnay aatay hain)

Larki ki maaan: hamari larki to mashllah lakhoon main aik hai hazarooon kamati hai Mashallah appna larki ka business hai

Larkay ki maaan: haan behan ajj kal nookarioon say kahan guzarara hoota hai khair app yeh samoosay lain na aur chat bhi lain aur yeh batain khana kaisa bana hai

Yeh sab kuch larkay nain kud banaya hai mashallah isay saray khanay pakkanay aatay hain aur to aur hamaray larkay ko to chinease bhi banana aata hai

Larki ki maaan: haan behan ajj kal k larkon ko to kuch bhi pakkana nahi aata larkon main to mashraqi toor tareeqay to khatam hootay jaa rahay hain
Kahir zara larkay ko to bhulain kahan hai wo

(Larka sharmatay huay ander aata hai)

Larki ki maaan: mashallah larka to waqai khoob soorat hai par hamari larki bhi to lakhooon main aik hai khoob jori jamay gi

Larkay ki maaan: array behan hamaray larkay ko to khanay pakkanay k ilawa salai aur kharhai bhi aati hai

Ghar k saray kapray hamara larka hi seeeta hai aur to aur hamara larka saray ghar ki safai bhi karta hai aur to aur appni bhabi k saray bachoon ko sanbaalta hai un ki nepi bhi change karta hai

Larki ki maaan : Mashallah app rishta pakka hi samjain hum bhuhat jald baraat lay k aain gay aur larkay ko rukhsat kar k lay jain gay par pehlay zara jehaiz ki baat clear kar lain

Yeh batain larka jehaiz main kia lay ga

Larkay ki maaan : Mashallah larka jaheiz main dhairoon samaaan lay ga aur kafi sooona(Gold) bhi lay ga aur gari bhi

Larki ki maan (kush hoo kar): bas behan app rishta pakka hi samjain aur shadi ki tayyari karain hamari larki buhat jaldi baraat lay gi aur app k larkay ko biah kar lay jay gi

No comments:

Post a Comment